History Subject bhi gajab ka hai , padhane me bas maja hai yaad karane me hai hi nahi...
But aisa bhi nahi hai ЁЯШЕ, yah NCERT bahut jyada boring hai, but faydemand hai.
Mai is time jyada to nahi padhata but thoda hi bahut padhata hu but santust hu...
Lekin bahut log jab dekho tab padh rahe hai ЁЯШЕ.
Khair aate hai main topic peЁЯШВ
H
History ek kitab hai jisme 6 se lekar 12th tak pura notes bankar diya hai, har ek point jo ncert me hai aur kuchh plus points bhi hai...
Aajkal History me Dynasty wagera chal rahi hai meri, ek senior ne task diya tha 15 days me history padh lo aur maine halke me lekar 14 days me ok bol diya ЁЯШВ.
Sach me kahana asan hai ab mera brain hame galiyan de raha hai ki kya task lena sach me jaruri tha ЁЯШВ
Ab khair le liya to thoda pressure jhelna padega CN.
Wo hota hai n ki jab tak start na karo tab tak wo kaam ek dream hi hota hai.
Ek baar start to karo apne aap wo aim lagega ki mera dost hai .
Ek example lete hai.
Ek ladaka hai usne hal hi me college join kiya hai, use ek ladaki pasand aa jati hai. Wo uska name janna chahta hai .
Aur wo ladaki us class ki hai hi nahi .
Balki wo other class ki hai. Ab wo usse baat karana chahata hai but use dar hai ki baat kare kaise kuchh gadbad na ho jaye.
Wo sochata hai ki name hi pata karana hai n wo uske class me kisi ladake se pata chal jayega , but us class ke ladako ko pata nahi.
Phir sochata hai ki ab wo kaise pata kare usne ek plan banaya aur usne badi hi himmat ke sath us class me gya aur usne fare well ke fund ke liye paise ke liye baat ki aur last me usse us ladaki se name puchh liya balki sab teachers students wahi the.
Yah ek plan tha jiske chalate wo ladaka us ladaki ka achchha khasa dost ban gya ЁЯШВ.
Wo ladaka mera hi dost hai...
Maine uska support kiya tha.
Wahi n kaha yar ek achchha plan banane se jo aim / goal hai jo bahut dur hota hai means wo dikhata to hai but pata nahi hota but ek baar than lo aur ek best plan banakar kaam karo to result 100% ka to pata nahi 90% workout karata hai.ЁЯШЕ
Bilkul maine bhi Yah History than li hai to than hi li hai 14 days me khatm to karana hai chahe kuchh points chhut hi kyu n jaye, but us last chapter tak pahunchana hi hai .
Ab ye mat samajhana ki aisi padhai ka kya phayada ЁЯШЕ but fayada hai mera ek history ka background taiyar ho jayega.
Aur sath hi sath mujhe history ki movie ban jayegi .
Phir mai 2nd time padhunga to Notes ke sath padhunga aur wo bhi deeply nahi.
3rd time deeply hoga.
Fun Type baate ЁЯШЙ
Yar History ki bate aisi aisi pata chal rahi hai ki maja aa ja raha hai.
# koi bhi raja ek shadi nahi kar raha aur sab apna samrajya badhane ke chakkar me lag rahe hai .
# kisi ka ek beta nahi raha ЁЯШВ queen bhi to kam nahi hai, wo king the n jo jyada properties lekar queens ke liye ek n ek naya kila.
#Us time bhi Kings hak marate the dusaro ka ek to mil nahi rahi dhang ki ЁЯШВ aur wo milegi to sambhalana bhi muskil hai bhai.
#. Ashok ko mahan kahate hai , usne 99 bhaiyon ko markar 20 years ki age me gaddi pe baitha ЁЯШВ bs apne ek bhai ko chhoda tha Uska name Tiss tha ЁЯШВ.
# Ashok ke 3 bete the aur 2 betiyan .
Aur 3 raaniya bhi.
Waise Chandra gupt jiki baate bhi gajab ki hai manna padega bhai unko Jab unhone Helen se shadi ki tab use dahej ke rup me ЁЯШВ ek nahi 3 mahajanapad mil gye jo present time me ek Nahi balki 2 countries hai .
Pakistan aur Afganistan ЁЯШЕ.
Bhai ye Dahej me itana le le rahe haiЁЯШВ..
Ashok ke pita Bindusar aur unke pita Chandragupt Maurya , Teeno kam to the nahi but Bhai Yaha Pota to kuchh jyada badh ke tha...
Usne itana jyada Dhamm prachar karavaya.
Stambhon pe likh diya aur to har jagah kuchh n kuchh jo aaj uska sabut milata hai.
Waise darasal ye sab brihadrath vansh se start hua tha jo Mahabharat time me tha but ek taraph se ye mana jata hai aur ek taraf se nahi.
But deeply bole to ha mana jata hai.
Comments
Post a Comment
рдХрдоेंрдЯ рдХрд░ рд╕рдХрддे рд╣ै, рд░िрдк्рд▓ाрдИ рдЬрд░ूрд░ рдоिрд▓ेрдЧा